Upload karne ke steps: Ye Step Income tax Second step ke baad hi karna he. Usse pehle nahi.
Client ko review keliye 2 document bhejte he: Excel aur Word. Excel file ko computation bolte he. Aur word file ko ITR bolte he. Ye dono file winman se automatic generate hote he. Niche dekhiye kese karna he.
1. Open Winman CA E-ERP. Then File->Open pe click karo
2.2019-2020 ka window open hoga - Window me niche File name me client ka naam type karo. - Type karte karte - automatic naam dikhega - usse select karo aur open pe click karo. Agar read only message aata he - to file khula he dusre PC pe. Agar dusre PC pe khula nahi he to Winman ko band karke chalu karo. aur phir try karo open karne
3. Phir Forms->E-return pe click karo. E-return generate hoga. E-return may koi errors aate he to wo errors ko solve karna he. Dhyaan DENA KI E_RETURN (matalb .xml file) Ko KABHIBHI galti se bhi SAVE NAHI KARNA HE - ye stage pe.
4. Tax payable ka message agar aata he to chalega - aur koi error nahi hona chahiye. Phir Niche 'Generate E-Return' ke baju me 'close' button he uspe click karo
5. Sab errors nikal ne ke baad Excel Computaion generate karo - Iskeliye - Go to File ->export to excel->Save->excel file ko desktop pe save karna he - Comp ke naam se...eg: Rahul Comp. Save karte waqt dhyaan dena ki aap .xlsx (matlab excel file) ko save kar rahe ho
6. ITR generate karne keliye- click on forms->Paper Return->tax payable ka agar error aata he to chalega->click Generate Paper Return->Word file ko save kardo desktop pe-ITR ke naam se.eg Rahul ITR. Save karte waqt dhyaan dena ki aap .docx file (matlab word file) ko save kar rahe ho
7. Ye dono file - Rahul Comp aur Rahul ITR ko niche field me upload kardo. Open karke check Karo. Excel file aur Word file open hone chahiye.